Sunday 10 May 2015

Darr lagta hai.

Kya zamana tha woh bhi
Jab mai bhi zindagi ko khoob enjoy krta tha
Na gaye huay or na anay walay kal ki fakr
lakin ab sab kuch tabdeel ho chuka hai
Na us tarhan se hasna or na woh mulaqatain hoti hain

Bas ab darr sa lagta hai, aur sharam c aati hai

Is umar mai aa kar agay peechay dekhta hun
Zyada tar shadi ki mehfilain or get togethers nazar atay hain
Mene bohat kam shadian attend kee hain
Lakin ab toh jese k attend krna chor dia
Na logo say mulaqaat hoti hai na kaheen ana jana

Bas ab darr sa lagta hai, aur sharam c aati hai

Zindagi may agay barhtay rehne k liay logo say lagao zaruri hota hai
Maine bhi khoob is behti ganga may haath dhoay hain
School, college, university...yeh sare daor dekh liay
Aur log phir bhi apas may taaluqaat barqarar rakhtay hain
lakin mainay ab tamaam logo ko zindagi say nikala hua hai
Aur jo nay chehray aatay hain unko bhi bhaga deta hun

Bas ab darr sa lagta hai, aur sharam c aati hai

Office mai log mujh say puchtay hain mere baray main
Meri zindagi kaisi guzarti hain kaam k illawa
koi dosti yaari, koi shughal waghera
kahin ana jana, koi committment waghera

Lakin mera in tamam sawaalon ka jawab na hota hai
Yun samajh lain k mai jhoot to nahi bolta
Lakin aisi cheezain ab tang karti hain
Aur main in ko duur bhagana munasib samajhta hun

Bas ab darr sa lagta hai, aur sharam c aati hai

Family gatherings kabhi kabhi hoti hain
lakin jab hoti hain toh lutf toh aata hai
Unko jo apas may zyada qareeb aur baatuni hote hain
Main munasib ye samajhta hun k alag kamre mai chala jaun
Aur headphones laga k apni dunya mai kho jaun

Bas ab darr sa lagta hai, aur sharam c aati hai


Beta hone ki haisiyat say mujhe ghar ka bara banda chahiye
Lakin surat e haal is k baraqs hai
Maine khud ko peechay krdia hai
Agar agay anay k liay bolna lazmi hai
To phir meri taraf say mazrat

Bas ab darr sa lagta hai, aur sharam c aati hai
 
Aur sabse aakhir main arz krta chalun
Log mujse puchtay hain k shaadi kab kr rahe ho? 
Bhai seedhi c baat hai Zara suniyay
Qayamat ayegi, ye hum jante hain lakin kab? 
Ye nahi Pata, aur yeh haal mera bhi hai
Mujhe khud bhi nahi Pata meri shadi kab hogi
Aur larki bhi koi pasand nahi aaye
Na kabhi is cheez k bare mai socha kabhi
Aur ab dil chaspee nahi rahi

Q? Bhai is liay q k
Bas ab darr sa lagta hai, aur sharam c aati hai

No comments:

Post a Comment